Laho To Dil Ka Meri Chasham-E-Tar Main Aaya Hai

 

 

Poet Jamaal Pani Pati


Typ By

*.__Ayaz Khan__.*


Laho To Dil Ka Meri Chasham-E-Tar Main Aaya Hai.


Magar Ye Dil Kahan Us Nazar Mein Aaya Hai.


Khabar To Le Na Kahen Shehr-E-Jaan Hi Jalta Ho.


Dhowan Kahan Se Ye Dil K Nagar Mein Aaya Hai.


Jale Hain Daag To Dil K Agar Diye Na Jale.


Chalo Kahen Se Ujala To Ghar Mein Aaya Hai.


Muhabbaton Ka Saleeqa Rafqaton Ka Hunar.


Kharab Ho K Bahut Umer Bhar Main Aaya Hai.


Zameen Bhi Paon Tale Zair-E-Aasman Na Rahi.


Azaab Ye Bhi Humen Har Safar Mein Aaya Hai.......!


==================

Nomiii  Collection

==================

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai