Poetess Noshi Gilani
Magar Khawab,
Khawab To Khawab Hote Hain,
Mere Shaoor Ki Aankhon Ne,
Jab Dekhna Seekha To Khawab Nahi Dekhe,
Khawab Dekhne Ki Khawahish,
Aur Us K Azab Dekhe,
Mohabbat Us Tassawor Roshan Lagta Hai,
Magar
Andhere Bhar Deta Hai Rooh Mein,
Weeran Kar Deta Hai Dil Ki Basti Ko,
Mujh Se Bhi Pehla Jurm Yehi Howa,
Main Ne Jab Likhna Seekha To,
Pehla Lafz Mohabbat Likha,
Bahut Likha Kai Tarha Se Likha,
Us Ki Khushbo Aur Us K Tamam,
Rangon Ko Khud Mein Aabad Kia,
Main Mohabbat Ki Us Jang Mein,
Khoobsorti Se Bhikharna Aur Marna Chahti Thi,
Main Ne Wo Umar,
Apni Us Zindagi Mein Bahut Talash Ki,
Jo Titlion Aur Jugnoo'n Ko Muthion Mein,
Qaid Kar K Khush Hone Ki Hoti Hai,
Garion Se Khelne Aur Sahilon Par,
Sipian Chunne Se Pehle Reit K Gharonde,
Banane Ki Hoti Hai Magar Meri,
Zindagi K Samandar Par Na Sahil Hain,
Na Sahilon Ki Hawa,
Bas Reit Hi Reit Hai,
Reit Hi Reit Aur Hawa Ka Reit Se Samjhota,
Mujhe To Aankhein Bachana Thein,
Meri Aankhon Ne Dheron Dheir Aanso Dekhe,
Magar Ye Aanso Main Ne Raigan Nahi Jane Diye,
Girte Rahe,
Mere Dil K Wasee Sehra Mein Behte Rahe,
Thande Aur Meethe Dharon Ki Tarha,
Mujhe Zindagi Karna Chahiye Thi,
Magar
Kia Ye Koi Aisi Shaye Hai Jo Khud Ki Ja Sakti Hai,
Zindagi Mujh Se Nahi Saki,
Aur Phir Main,
Aik Had Par Aa Kar Ruk Gai,
Main Us Zindagi K Sath,
Us Ki Sharton Par,
Us Se Ziada Aage Nahi Ja Sakti Thi,
Main Ne Shairy Ki Aur Apni Shart Par Ki,
Jaisi Bhi Ki Mujhe Us Se Apne,
Tamam Hi Rishton Par Gharoor Hai,
K Ye Sab Kuch Mera Hai,
Mera Apna,
Us K Nahi,
Jo Raston Aur
Nehr Kinare,
Aistada Darkhaton Par,
Sar-E-Sham Do Namo Ko Jor Kar,
Do Namo Ko Jor Kar,
Aik Naam Banata Hai,
Aur,
Bhool Jata Hai,
Bhool Jana,
Such Se Munharif Ho Jana Hai,
Kirdar Se Khali Ho Jana,
Meri Sari Ki Sari Tanhai,
Yad Rakhne Aur,
Sach Bolne Ki Saza Hai,
Mujhe Kuch Nahi Bhoola,
Zard Phoolon Ki Barish Se Le Kar,
Laho Laho Karti,
Rasmo Aur Qasmo Tak,
Rawajon Aur Samajon Tak,
Sach
Jo Mera Yaqeen Hai,
Mera Iman Hai,
Ab,
Kai Tarha Ki Baton Aur Barsaton Ne,
Mere Charon Taraf Be Shumar Aankhein Hain,
Aur Un Mein,
Meri Aankhein,
Meri Apni Aankhein Sulagti,
Talash Karti Aankhein,
Talash Karti,
Zakham Khati Aankhein,
Aur Main Ne To Kabhi Un Aankhon Ko,
Jhapak Kar Bhi Nahi Dekha,
Jane Kion,
Aik Dharka, Aik Khadsha,
Jahan Mein Aankh Jhapkon Gi,
Wohein Par Hadsa Ho Ga,
Taloo-E-Aaftab Ka Manzar Acha Lagta Ho Ga,
Magar Ye To Shab Guzarne Par Hai Na,
Aur Mujhe To Shab K Guzarne Tak,
Aankhon Ko Charagh Rakhna Hai,
Mujhe Nahi Maloom Mere Sath Kise Jagna Hai,
Mujhe To Bas Ye Khabar Hai,
K Main Jag Rahi Hon,
Mohabbatein Jab Shumar Karna,
Meri HaYat-O-Kainat Ka Aaina Hai,
Aaina To Sach Bole Ga,
Aur Phir Mera Aaina...!
Main Apne Sach K LiYe Kahein Bhi,
Kabhi Bhi Mazrat Nahi Chahon Gi...............!
Page 23 To 30
===============
Nomii Collection
===============
Comments
Post a Comment