Mar Bhi Jaon To Kahan Log Bhula Hi Den Gay

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Mar Bhi Jaon To Kahan Log Bhula Hi Den Gay,

Lafz Mere, Mere Hone Ki Gawahi Den Gay,

Log Thara Gaye Jis Waqt Manadi Aai,

Aaj Paigham Nia Zil-E-Ilahi Den Gay,

Jhonke Kuch Aise Thapakte Hain Gulon K Rukhsar,

Jaise Is Bar To Patt Jhar Se Bacha Hi Den Gay,

Hum Wo Shab Zad K Soraj Ki Anayaat Mein Bhi,

Apne Bachon Ko Faqt Kowar Niga Hi Den Gay,

Aasteen Sanpon Ki Pehnein Gay Gale Mein Maala,

Ehl-E-Koofa Ko Nai Shehr Pana Hi Den Gay,

Shehr Ki Chabian Aada K Hawale Kar K,

Tuhftan Unhein Maqtool Sipahi Den Gay................!

Page 20,21 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo