Mata-E-Kosar-O-Zamzam K Pemane Teri Aankhein

 

Poet Saghir Saddiqui

Mata-E-Kosar-O-Zamzam K Pemane Teri Aankhen.

Farishton Ko Bana Deti Hain Diwane Teri Aankhen.

Jahan-E-Rang-O-Boo Uljha Howa Hai In k Doron Mein.

Lagi Hain Kakal-E-Taqdeer Suljhane Terr Aankhen.

Isharon Se Dilon Ko Chhir Kar Iqraar Karti Hain.

Uthati Hain Bahaar-E-Nao K Nazrane Teri Aankhen.

Wo Diwane Zamam Lala-O-Gul Thaam Lete Hain.

Jinhen Mansob Kar Deti Hain Wirane Teri Aankhen.

Shagufon Ko Shararon Ka Machalta Rop Deti Hain.

Haqeeqat Ko Bana Deti Hain Afsane Teri Aankhen.....!

Book:

Kuliyat e Saghir

Page: 325 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai