Saye Ki Tarha Na Khud Se Ram Kar

Deewar Ko Apna Hum Qadam Qadam Kar

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Saye Ki Tarha Na Khud Se Ram Kar

Deewar Ko Apna Hum Qadam Qadam Kar,

Apne Hi Liye Baha Na Daria,

Auron K Liye Bhi Aankh Nam Kar,

Takmeel-E-Talab Nahi Hai Manzal,

Taye Rah-E-Wafa Qadam Qadam Kar,

Aye Pichli Rutton K Rone Wale,

Aane Wale Dino Ka Gham Kar,

Mumkin Ho To Taisha-E-Hunar Se,

Har Para-E-Sang Ko Sanam Kar,

Hai Chashm Barah Aik Dunia,

Pathar Ki Tarha Na Beth Jam Kar,

Ye Rah-E-Janoon Hai Is Mein Pyare,

Mumkin Ho To Ehtiat Kam Kar,

Aye Qasar-E-Jahan Ye Tera Mamaar,

Too Hath FARAZ K Qalam Kar................!

Page 97,98 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai