Shakh-E-Badan Ko Taza Phool Nishani De

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Shakh-E-Badan Ko Taza Phool Nishani De,

Koi To Ho Jo Meri Jaron Ko Pani De,

Apne Sare Manzar Mujh Se Le Le Aur,

Maalik Meri Aankhon Ko Hairani De,

Us Ki Sargoshi Bheegti Jaye Rat,

Qatra Qatra Tan Ko Nai Kahani De,

Us K Naam Pe Khule Dareeche K Neeche,

Kaisi Pyari Khushbo Rat Ki Rani De,

Bat To Tab Hai Mere Haroof Goonj K Sath,

Koi Us Lehje Ko Bat Purani De................!

Page 374 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha