Tujhe Azhar-E-Mohabbat Se Agar Nafrat Hai

 

 

Poet Ahmad Nadeem Qasmi

 

Tujhe Azhar-E-Mohabbat Se Agar Nafrat Hai,

Too Ne Honton Ko Larazne Se To Roka Hota,

Be Niazi Se Magar Kanpti Aawaz K Sath,

Too Ne Ghabra K Mera Naam Na Poocha Hota,

Tere Rukhsar Mein Gulzar Na Bharka Hota,

Tera Ghamaz Bana Khud Tera Andaz-E-Kharaam,

Dil Ne Sambhla Tha To Qadmo Ko Sambhala Hota,

Apne Badle Meri Tasveer Nazar Aa Jati,

Too Ne Us Waqt Agar Aaina Dekha Hota,

Hosla Tujh Ko Na Tha Mujh Se Juda Hone Ka,

Warna Kajal Teri Aankhon Ka Na Phaila Hota................! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo