Poet Naseer-o-Deen Naseer
Ujar Gia Chaman Log Dilfgar Chale,
Koi Saba Se Kaho Ab Na Bar Bar Chale,
Ye Ko Seir Ka Armaan Liye Chaman Se Gia,
K Baad-E-Subha K Jhonke Bhi So Gawar Chale,
Ye Kia K Koi Bhh RoYa Na Yad Kar K Unhain,
Wo Chand Phool Jo Husn-E-Chaman Nikhar Chale,
Naqab Utha K Pare Ehl-E-Dard Mein Hal Chal,
Nazar Mila K Churi Dil K K Aar Paar Chale,
Khosha K Dar Pe Tere Jhuka Lia Hum Ne,
Ye Aik Qarz-E-Jabeen Tha Jise Utar Chale,
Kahe Jo Haq Wo Kare Kion Ma'aal-E-Haq Se Gureiz,
Koi Chale Na Chale Hum To Sooye Daar Chale,
Ab Is K Bad Jane Ya Saba Jane,
Guzarne Thay Humain Char Din Guzar Chale,
Palat K Dekha Na Ek Bar Karwaan Ne Humain,
Gire Paron Ki Tarha Hum Pas-E-Ghubar Chale,
Jo Un Ki Yad Mein Chamke Kabhi Sar-E-Majhgaan,
Wo Char Ashk Meri Aaqbat Sanwar Chale,
Kisi Ki Yad Se Taskeen-E-Jaan Hai Wabasta,
Kisi Ka Zikar Chale Aur Bar Bar Chale,
Tumhari Bazm Se Taseer Uth Gai Shayad,
Bahal-E-Zaar Hum Aaye Bahaal-E-Zaar Chale,
Ghareeb-E-Shehr Ki MaiYat K Sath Rota Kon,
Mera Salam Ho Un Par Jo Ashkbar Chale,
Qafas Mein Roz Dikhata Hai Aashian Siyad,
Naseer Aag Laga Don Jo Akhtiar Chale.....................!
Comments
Post a Comment