Ye Mizaj-E-Yar Ko Kia Howa Unhen Mujh Se Pyar Hai Aaj Kal

 

 

Poet Kaif Bhopali


Typ By

*.__Ayaz Khan__.*


Ye Mizaj-E-Yar Ko Kia Howa Unhen Mujh Se Pyar Hai Aaj Kal.


Meri Justoju Meri Guftogu Mera Intazar Hai Aaj Kal.


Wo Tere Khatoot Nikaalna Kabhi Dekhna Kabhi Chomna.


Yahi Mashghala Yahi Silsila Yahi karobar Hai Aaj Kal.


Aise Qatal Kar Use Qatal Kar Tujhe Sath Khoon Maf Hain.


Teri Saltanat Tera Dabdaba Tera iqtidar Hai Aaj kal.


Ary KAIF Kal To Too Rind Tha Mere Yaar Tujh Ko Ye Kia Howa.


Barra Mazhabi Barra Paarsa Barra Deen Daar Hai Aaj Kal.......!


==============

Nomiii Collection

==============

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo