Zulf-E-Barham Sambhal Kar Chaliye

Rasta Dekh Bhal Kar ChaliYe

 

Poet Abdul Hameed Addam

 

Zulf-E-Barham Sambhal Kar Chaliye

Rasta Dekh Bhal Kar ChaliYe,

Mosam-E-Gul Hai Apni Banhon Ko,

Meri Banhon Mein Dal Kar ChaliYe,

Maye Kade Mein Na Bethe Ta Hum,

Kuch Tabiat Bahaal Kar ChaliYe,

Kuch Na Dein Gay To Kia ZiYaan Ho Ga,

Harj Kia Hai Sawal Kar Chaliye,

Hai Agar Qatl-E-Aam Ki NiYat,

Jism Ki Chab Nikal Kar ChaliYe,

Kisi Nazuk Badan Se Takra Kar,

Koi Kasab-E-Kamal Kar Chaliye,

Ya Dopatta Na LijiYe Sar Par,

Ya Dopatta Sambhal Kar Chaliye,

Yar Dozakh Mein Hain Muqeem ADDAM,

Khuld Se Intaqal Kar Chaliye................!

Page 134,135

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo