Aaye Kuch Abar Kuch Sharab Aaye

 

 Poet Faiz Ahmad Faiz 

 

Aaye Kuch Abar Kuch Sharab Aaye,

Us K Baad Aaye Jo Azab Aaye ,

Baam-E-Meena Se Mahtab Utare,

Dast-E-Saqi Mein Aaftab Aaye,

Har Rag-E-Khoon Mein Phir Charaga Ho,

Samne Phir Wo Benaqab Aaye,

Umar K Har Warq Pe Dil Ko Nazar Teri,

Mehr-O-Wafa K Baab Aaye,

Kar Raha Tha Gham-E-Jahan Ka Hisab,

Aaj Tum Yad Behisab Aaye,

Na Gai Tere Gham Ki Saradari,

Dil Mein Youn Roz Inqalab Aaye,

Jal Uthe Bazm-E-Ghair K Dar-O-Baam,

Jab Bhi Hum Khanamaan Kharab Aaye,

Is Tarha Apani Khamoshi Goonji,

Goya Har Simt Se Jawab Aaye,

Faiz Thi Rah Sar Basar Manzal,

Hum Jahan Pohnche Kamayab Aaye..............! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai