Sajan Ki Yadein Bhi SALEEM Kin Lamhon Mein Aati Hain,
 
Gori Aata Goond Rahi Thi Namak Milana Bhool Gai

 

 

Poet Kosar Saleem 

 

Phool Pe Aa K Bethi To Khud Par Itrana Bhool Gai,

Aisi Mast Hoi Wo Titli Par Phailana Bhool Gai,

Aise Khila Wo Phool Sa Chehra,

Pheli Saare Ghar Mein Khushbo,

Khat Chupa Kar Parhne Wali Raz Chupana Bhool Gai,

Kalion Ne Har Bhanwre Titli Se Poocha Hai Us Ka Naam,

Baad-E-Saba Jis Phool K Ghar Se Lout K Aana Bhool Gai,

Apne Purane Khat Lene Wo Aai Thi Mere Kamre Mein,

Maiz Par Do Tasveerain Dekhi Khat Le Jana Bhool Gai,

Barson Baad Mile To Aisi Pyas Bhari Thi Aankhon Mein,

Bhool Gia Main Bat Batana Wo Sharmana Bhool Gai,

Sajan Ki Yadein Bhi SALEEM Kin Lamhon Mein Aati Hain,

Gori Aata Goond Rahi Thi Namak Milana Bhool Gai..........! 

 

Book Bahar-E-Zeest

Page 34,35 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha