Wo Kehti Hai Suno Jana,

Mohabbat Mom Ka Ghar Hai

 

 

Poet Atif Saeed 

 

Wo Kehti Hai Suno Jana,

Mohabbat Mom Ka Ghar Hai

Tapish-E-Badgumani Ki

Kahein Pigla Na De Is Ko?

Main Kehta Hon,

Jis Dil Main Zara Bhi Badgumani Ho,

Wahan Kuch Aur Ho To Ho,

Mohabbat Ho Nahi Sakti,

Wo Kehti Hai Sada Aise Hai,

Kia Tum Mujh Ko Chaho Gay?

K Main Is Main Kami Koi Bhi,

Gawara Kar Nahi Sakti,

Main Kehta Hon,

Mohabbat Kia Hai Ye Tum Ne Sikhaya Hai,

Mujhe Tum Se Mohabbat K Siwa Kuch B Nahi Aata,

Wo Kehti Hai,

Judai Se Bahut Darta Hai Mera Dil,

K Khud Ko Tum Se Hat Kar Dekhna,

Mumkin Nahi Hai Ab,

Main Kehta Hon,

Yahi Khadshe Bahut Mujh Ko Satate Hain,

Magar Sach Hai K,

Mohabbat Mein Judai Sath Chalti Hai,

Wo Kehti Hai,

Batao Kia Mere Bin Jee Sako Gay Tum?

Meri Batain Meri Yadein Meri Aankhein,

Bhula Do Gay?

Main Kehta Hon,

Kabhi Aisi Bat Par Socha Nahi Main Ne,

Agar Ek Pal Ko Bhi Sochon To,

Saansein Rukne Lagti Hain,

Wo Kehti Hai Tumhain Mujh Se,

Mohabbat Is Qadar Kion Hai?

K Main Ek Aam Si Larki

Tumhein Kion Khas Lagti Hon,

Main Kehta Hon,

Kabhi Khud Ko Meri Aankhon Se Tum Dekho,

Meri Deewangi Kion Hai,

Ye Khud Hi Jan Jao Gi,

Wo Kehti Hai,

Mujhe Waraftgi Se Dekhte Kion Ho?

K Main Khud Ko Bahut Qeemti Mehsoos Karti Hon,

Main Kehta Hon,

Mata-E-Jan Bahut Anmol Hoti Hai,

Tumhein Jab Dekhta Hon Zindagi Mehsoos Karta Hon,

Wo Kehti Hai,

Mujhe Alfaz K Jugno Nahi Milte,

K Tumhain Bata Sakon K,

Dil Main Mere Kitni Mohabbat Hai,

Main Kehta Hon,

Mohabbat To Nigahon Se Jhalakti Hai,

Tumhari Khamoshi Mujh Se,

Tumhari Bat Karti Hai,

Wo Kehti Hai,

Batao Na Kis Ko Khone Se Darte Ho?

Batao Kon Hai Wo Jise,

Ye Mosam Bulate Hain?

Main Kehta Hon,

Ye Meri Shairy Hai Aaina Dil Ka,

Zara Dekho Batao Kia,

Tumhain Is Mein Nazar Aaya?

Wo Kehti Hai,

Atif Jee Bahut Batein Banate Ho,

Magar Sach Hai Ye Batein,

Bahut Hi Shad Rakhti Hain,

Main Kehta Hon,

Yeh Sab Batain Ye Fasane Ek Bhana Hain,

K Pal Kuch Zindagani K Tumhare Sath Katt Jain,

Phir Us K Bad Khamoshi Ka Dilkash Raqs Hota Hai,

Nigahain Bolti Hain Aur

Lab Khamosh Rehte Hain................!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo