Aah ! O Ishrat Fazaa-e-Rooh-e-Insani Hilaal


=============

Hilaal-e-Eid

=============

.

Aah ! O Ishrat Fazaa-e-Rooh-e-Insani Hilaal......!

.

Aah ! O Kudrat Numa-e-Shaan-e-Yazdaani Hlil....!

.

Aah ! O Fitrat Laqa-e-Bazm-e-Noraani Hilal......!

.

Aah ! O Soorat Kasha-e-Zouq-e-Wajdaani Hilal...!

.

...Tu Naveed-e-Inbasaat-e-Khatir-e-Pazmazda Hai...

.

...Hasrat Us Mayoos Par , Is Par Bhi Jo Afsurda Hai...

.

Dekhta Hon Main Tujhy , Tu Dekhta Hai Mera Haal...

.

Jaan-e-Muztar Qalb-e-Aazarda Pareshan Sir Ke Baal...

.

Tu Daleel-e-Ouuj , Rifat , Main Sarapa Paimaal...

.

Aah ! Ye Din , Aah ! Ye Shab , Aah ! Ye Shaam-e-Malaal...

.

...Az Dil Afgaar-e-Janoo'n , Waja-e-Dil Afgaari Mipras...

.

...Aah ! Ghamkhwaar-e-Ghamam ! Haal-e-Gham Aazaari Mipras...

(Farsi)

.

Haal Pochta Hai , Mujh Se Tu , Aye BeKhabar...

.

Ho Chuki Tareek , Chashm-e-Yaas Main Sham-o-Sahar...

.

Aah !  Wo Gham Ki Kahani Barh Gai Hai Kis Qadar...

.

Jis Ko Main Samjhy Hoye Tha Dastaan-e-Mukhtasir...

.

...Saal Bhar Pechy , Ayadat Ko Meri Aaya Hai Tu...

.

...Laa , Dawa-Iztraab-e-Dard , Kiya Laya Hai Tu...?

.

Khair Tu Khamosh Hai , To Hum Samajhty Hain Ye Raaz...

.

Khair , Tu Chup Hai , To Hum Khud Hi Bajaty Hain Ye Saaz...

.

Uth Gai Thi Jab Se Teri Janib  Ek Ungashat-e-Naaz...

.

Hai Usi Din Se Tabiat Teri Is Darja Dil Gudaaz...

.

...Tery , Ghatny Aur Barhny Main Bhi Pinhaa'n Bhed Hai...

.

...Tu Qateel-e-Gham Nahi Hai , Zinda-e-Javed Hai...

.

Mujh Main Tujh Main , Ek Zameen-o-Aasman Ka Farq Hai...

.

Main Hon Muztar Tu Hawa-e-Dil_Kashi Main Ghark Hai...

.

Tery Aagy Zard Chehra , Aaftaab-e-Sharq Hai...

.

Aur Mery Wasty Teri Jhalak Hi Barq Hai...

.

...Haan , Magar Ek Imtiaaz-e-Aashqi Mujh Main Bhi Hai...

.

...Janta Hon Main , Keh Jo Mujh Main Hai , Wo Tujh Main Bhi Hai...

.

Farq Itna Hai , Keh Tu Hai Kamyab-e-Aarzu...

.

Zar'ra-e-Hasrat Hon Main Tu Aftab-e-Aarzu...

.

Uth Chuka Hai Teri Nazron Sy Hijaab-e-Aarzu...

.

Aur Ab Tak Gum Hon Main Zer-e-Naqaab-e-Aarzu...

.

...Laakh Par Bhaari Hai , Teri Ek Hasti-e-Naheef...

.

...Dekh Leny Sy Teri Khul Jati Hai Chashm-e-Zaeef...

.

Ek Zamana Tha Keh,Thi Meri Tabiyat Bhi Gudaaz...

.

Ab To Hon  , Ek Hasti Mohum Ka Khamosh Saaz...

.

Jitny Sajdy Thy Jabee'n Main Kar Chuka Sarf-e-Niyaaz...

.

Ho chuki Mehmani-e-Gham Uth Chuky  Ab Dil Ke Naaz...

.

...Badar Tha Pehly , Magar Ab Main Hilali Ho Gya...

.

...Hijar Main Itna Ghula , Naqsh-e-Khayali Ho Gya...

.

Aa Keh Ruksat Tum Se Ho Loo'n , Teri Ruksat Dekh Loo'n...

.

Aa , Keh Dam Bhar Aur Apna Naqsh-e-Hasrat Dekh Loo'n...

.

Aa , Keh Tery Aainy Main Khat-e-Kismat Dekh Loo'n...

.

Aa , Keh Apny Dekhny Waalon Ki Soorat Dekh Loo'n...

.

...Dekh Kar Soorat Teri , Jaa'n Apni Dy Doo'n Ga Tujhy...

.

...Ab K Dekha Hai Tujhy , Ab K Na Dekhon Ga Tujhy.....

.

................................

Chand Mubarak

...............................


===============

Nomiii Collection

===============



No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo