Agar Che Teri Nazar Ka Hi Tarjamaan Hon Main

Teri Nigah Se Lekin Abhi Nahaan Main


Poet Abdul Hameed Addam

 

Agar Che Teri Nazar Ka Hi Tarjamaan Hon Main

Teri Nigah Se Lekin Abhi Nahaan Main

Abhi Afsane Ki Gehrai Tak Nahi Pohncha,

Hanooz Kushta E Unwan-E-Dastaan Hon Hon,

Abhi Main Apne Digar Par Dharon Qadam Kaise,

Mujhe Ye Ilm Hai Humrah-E-Karwaan Hon Main,

Main Hon Zaroor Kahein Teri Bazm Mein Lekin,

Talash Kar K Too Khud Hi Bata Kahan Hon Main,

Bitha Lia Mujh Aankhon Pe Is Ki Rehmat Ne,

Mujhe Gumaan Tha K Ek Jinr Raigaan Hon Main,

Ye Kia Maqam Hai Pindar-E-Khud Shanasai Ka,

Har Aik Qatra Ye Kehta Hai Bekaraan Hon Main............!

Page 159

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo