Aise Hi Na Parwa Usay Meri Na Zarorat Hai Meri

Mein Gali Ka Aik Majno Hon Aur wo Parde Dar Log

 

Poet Wasiq Ali Athar

Type By 

*.__Ayaz Khan__.*

 

Aate Hain Zindagi Mein Kuch Dildar Log,

Jo Hote Jan Phir Bhi Dil Dukhate Hain Yar Log,

Badal Gia Zamana Phir Bhi Mohabbat K Mare,

Phir Bhi Aate Hain Nazar Mohabbat Mein Giraftar Log,

Sitam To Jab Hai K Mohabbat Yak Tarfa Ho,

Kisi Ko Parwa Nahi Aur Kuch Hote Hain Talbgar Log,

Aise Hi Na Parwa Usay Meri Na Zarorat Hai Meri,

Mein Gali Ka Aik Majno Hon Aur wo Parde Dar Log,

Par Ye Sach Hai K WASIQ Mohabbat Zinda Aaj Bhi Kal Ki Tarha,

Par Jo Bhi Karte Hain Hote Nahi Samajh Daar Log........!

 

Book Chaman Mein Phool Mehka

Page 32,33 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha