Ham Bari Door Se Aaye Hain Tumhari Khatir

Dil K Arman Bhi Laye Hain Tumhari Khatir

 

Poet Saghar Saddiqui


Ham Bari Door Se Aaye Hain Tumhari Khatir

Dil K Arman Bhi Laye Hain Tumhari Khatir

Aisa Ek Sang Jo Taleef-E-Rah Manzil Ho,

Manzilain Dhoond K Aaye Hain Tumhari Khatir,

Kitni Nakam Umeedon K Diye Pichle Pehar,

Hum Ne Daria Mein Bahaye Hain Tumhari Khatir,

Ahd-E-Roshan K Sukhoor Na Bhulaain Ge Kabhi,

Ham Ne Wo Sahar Jagaye Hain Tumhari Khatir.

Ham Na Chahain Ge Kabhi Takht Jam-O-Khusro K,

Ham Ne Armaan Lutaye Hain Tumhari Khatir,

Ham Wahan Thay K Jahan SAGHAR-O-Saqi Thay Madaam,

Doston Lot K Aaye Hain Tumhari Khatir.........!


Book:
Kuliyaat e Saghar

Page: 70


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo