Poet Dagh Dehlvi
Wo Hawas Thi Meri Uran Ki,
K Main Har Sitare Ko Choo Sakon,
Meri Khwahishon Ko Haar Don,
Kisi Aise Dhare Ko Choo Sakon,
Na Chamakte Chand Ki Roshni,
Na Hi Dil Ka Jalta Charagh Hon,
Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake,
Meri Zindagi Mein Wo Daagh Hai,
Koi Aisi Thi Na Khata Meri,
Kabhi Khatm Ho Na Saza Meri,
Kisi Aur Se Karon Kia Gila,
Na Sune Duhai Khuda Meri,
Jo Salook Mujh Se Kia Gia,
Meri Har Ghari Mein Wo Aag Hai,
Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake,
Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai,
Main Agar Hun Us Ki Panah Mein,
Mera Dil To Bas Mein Nahi Raha,
Mere Har Nafas Pe Hai Haq Mera,
Main Tumhara Hon Jion Kis Tarah,
Na Madawa Hai Koi Pyas Ka,
Na Sakoon Pata Na Demagh Hai,
Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake,
Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai,
Mere Dil Se Dharaknain Cheen Kar,
Mujhe Mujh Se Door Kia Gia,
K Hon MaMta Ka Ek Aaina,
Mujhe Choor Choor Kia Gia,
Na Hi Aage Barhne Ka Rasta ,
Na Hi Manzalon Ka Suragh Hai,
Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake,
Meri Zindagi Mein Wo Dagh hai,
Ye Saza Mili Hai Na Jane Kion,
Koi Jurm Main Ne Kia Na Tha,
Laga Dagh Jo Mujhe Qaid Mein,
Wo Rehai Se Bhi Dhula Na Tha,
Na Bahar Hai Koi Aas Ki,
Na Mehkti Sanson Ka Bagh Hai,
Jo Na Dhul Sake Jo Na Mit Sake
Meri Zindagi Mein Wo Dagh Hai.
Comments
Post a Comment