Jo Sar Mein Zulf Ka Sooda Tha Sab Nikal Dia

Bala Hon Main Yehi K Aai Bala Ko Taal Dia

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Jo Sar Mein Zulf Ka Sooda Tha Sab Nikal Dia

Bala Hon Main Yehi K Aai Bala Ko Taal Dia

Yaqeen Hai Thokarain Kha Kha Kar Kuch Sambhal Jaye,

K Is Ki Raah Mein Hum Ne Bhi Dil Ko Daal Dia,

Jahan Mein Aaye Thay Kia Ranj Uthane Ko,

Ilahi Too Ne Humain Kis Bala Mein Dal Dia,

Khuda Kareem Hai Youn To Magar Hai Itna Rashk,

K Mere Ishq Ne Sanche Mein Tum Ko Dhaal Dia,

Button K Deen Mein Hai Loutna Sawab Aisa,

K Jaise Raah-E-Khuda Muflison Ko Maal Dia,

Pyam-O-Wasal Hi Kion Ab Raqeeb K Hathon,

Nikalna Tha Mujhe Aap Ne Nikal Dia,

Batain Lafz Tamana Maani Kia,

Tumhare Kaan Mein Ek Harf Hum Ne Daal Dia,

Sar Adalat Mehshar Jawab Kia Do Gay,

Jo Daad Khawahon Ne Tum Par Koi Sawal Dia,

Nahi Adov To Khayal Adov Hi Khilwat Mein,

Kisi Bahane Se Us Ko Na Tum Ne Taal Dia,

Humain Khuda Ne Bahut Ranj-O-Gham Dia Aye Dagh,

Button Ki Dil Mein Na Thora Sa Raham Dia.............! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai