Kabhi Aarzoo'n Mein Daal Gaye

Kabhi Dasht-E-Dil Mein Utar Gaye



Poet Wasiq Ali Athar


Kabhi Aarzoo'n Mein Daal Gaye

Kabhi Dasht-E-Dil Mein Utar Gaye

Takra K Loutti Jo Roshni Udas Chehre Nikhar Gaye,

Mere Samne EK Faseel Thi,

EK Khawab Ki Takmeel Thi,

Apno Ne Hi Jab Moonh Phira,

Mere Sare Khawab Mukar Gaye,

Phoolon Ki Mehfil Se Pyar Tha,

EK Sakoon Ki Talash Thi,

Khamosh Wadi Mein Chal Diye,

Hum Idhar Gaye Kal Udhar Gaye,

Hum Sub Azizon Mein Pyar Tha,

Aur Zindagi Bhi Jameel Thi,

Apna To Khud Ko Pata Nahi,

Mere Dil Nawaz Kidhar Gaye.

Jo Asal Thi Us Ne Parhi Nahi,

Wo Is Ghazal Ki Daleel Thi Na Hi Khush Thi,

Na Khabar Mili Bigaray Halaat Bigar Gaye.........!



No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo