Sakoot-E-Sham-E-Gham Hai Aur Main Hon

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Sakoot-E-Sham-E-Gham Hai Aur Main Hon,

Charagh-E-Chashm-E-Nam Hai Aur Main Hon,

Musafat Mein Mata-E-Ranj-E-Manazal,

Mera Naqsh-E-Qadam Hai Aur Main Hon,

Bikharte Tootte Batte Jahan Mein,

Khumar-E-Besh-O-Kam Hai Aur Main Hon,

Mera Damaan-E-Dil Hai Aur Too Hai,

Tera Dast-E-Karam Hai Aur Main Hon,

Udhar Sa'aye Wajood-E-Nishaan K,

Idhar Dasht-E-Addam Hai Aur Main Hon,

Mithas Ab Sans Ki Bujhne Lagi Hai,

Rawaan Shah Rag Mein Sam Hai Aur Main Hon,

Teh Mehrab-E-Chashm-O-Gosh-E-Aalam,

Duaon Ka Bharam Hai Aur Main Hon,

Mujhe Faryad-O-Naghma Ki Khabar Kia,

Nafs Ka Zeir-O-Bam Hai Aur Main Hon,

Wohi Gharat Gari Dil Ki Hai MOHSIN,

Wohi Kanj-E-Qalam Hai Aur Main Hon..............! 

 

Page 174 to 175 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo