Teri Ankhon K Daria Ka Utarna Bhi Zarori Tha Lyric

 

Singer Rahat Fathe Ali Khan 

 

Teri Ankhon K Daria Ka Utarna Bhi Zarori Tha

Mohabbat Bhi Zarori Thi Bicharna Bhi Zarori Tha,

Zarori Tha K Hum Dono Tawaf-E-Arzo Karte,

Magar Phir Aarzoo'n Ka Bikharna Bhi Zarori Tha,

Batao Yad Hai Tum Ko Wo Jab Dil Ko Churaya Tha,

Churai Cheez Ko Tum Ne Khuda Ka Ghar Banaya Tha,

Wo Jab Kahte Thay Mera Naam Tum Tasbeeh Main Pahrte Ho,

Mohabbat Ki Namazon Ko Qaza Karne Se Darte Ho,

Magar Ab Yad Aata Hai Wo Batain Thi Mehiz Batain,

Kahein Baton Hi Baton Main Mukarna Bhi Zarori Tha

Wohi Hain Soratain Apni,

Wohi Main Hon Wohi Tum Ho,

Magr Khoya Howa Hon Main,

Magar Tum Bhi Kahein Gum Ho,

Mohabbat Main Dagha Kia Tha So Kafir Hai So Kafir Hai,

Mili Hain Manzilain Phir Bhi Musafir Thay Musafir Hain,

Tere Dil K Nikle Hum Kahan Bhatke Kahan Ponche,

Magar Bhatke To Yad Aaya Bhatkna Bhi Zarori Tha,

Mohabbat Bhi Zarori Thi Bicharna Bhi Zarori....!

 

2 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. 100s of d same lyrics, without d Lyricist's name, is d greatest exercise in futility, on Internet, a Parent-less Entity - wud b d voice of a crowd of surfers, if they ever came out of their slumber & chose 2 opine, Friends!

    ReplyDelete

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo