Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi

Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho

 

Singer Nusrat Fathe Ali Khan 

 

Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi

Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Dekho

Tarapne Pe Mere Na Phir Tum Hanso Gay,

Kabhi Dil Kisi Se Laga Kar To Dekho,

Honton K Pas Aaye Hansi Kia Majaal Hai,

Dil Ka Moamla Hai Koi Dil Lagi Nahi,

Zakhm Pe Zakhm Pe Kha K Jee Apne Laho K Ghoont Pe,

Aah Na Kar Labon Ko Se Ishq Hai Dil Lagi Nahi,

Dil Laga Kar Pata Chale Ga Tumhain,

Aashqi Dil Lagi Nahi Hoti,

Kuch Khail Nahi Hai Ishq Ki Lag,

Pani Na Samajh Ye Aag Hai Aag,

Khon Rulaye Gi Ye Lagi Dil Ki,

Khail Samjho Na Dil Lagi Dil Ki,

Ye Ishq Nahi Aasan Bas Itna Samajh Lejiaye,

Ek Aag Ka Daria Hai Aur Doob K Jana Hai,

Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi,

Mohabbat Ki Rahon Mein Aa Kar To Dekho,

Tarapne Pe Mere Na Phir Tum Hanso Gay,

Kabhi Dil Kisi Se Laga Kar To Dekho,

Wafaon Ki Hum Se Tawaqo Nahi Hai,

Magar Aik Bar Aazma Kar To Dekho,

Zamane Ko Apna Bana Kar To Dekho,

Hamain Bhi Tum Apna Bana Kar To Daikho,

Khuda K Liye Chor Do Ab Ye Parda,

Rukh Se Naqab Utha K Bari Deir Ho Gai,

Maahol Ko Tilawat-E-Quran Kiye Howay,

Hum Na Samjahe Teri Nazron Ka Taqaza Kia Hai,

Kabhi Parda Kabhi Jalwa Ye Tamasha Kia Hai,

Jane-E-Jan Hum Se Ye Uljhan Nahi Dekhi Jati,

Khuda K Liye Chor Do Ab Ye Parda,

K Hain Aaj Hum Tum Nahi Ghair Koi,

Shab-E-Wasl Bhi Hai Hijab Is Qadar Kion,

Zara Rukh Se Aanchal Utha Kar To Dekho,

Jafaein Bahut Ki Bahut Zulm Dhaye,

Kabhi Ek Nigah-E-Karam Is Taraf Bhi,

Hamesha Howay Dekh Kar Mujh Ko Barham,

Kisi Din Zara Muskara Kar To Dekho,

Jo Ulfat Mein Har Ek Sitam Hai Gawara,

Ye Sab Kuch Hai Pas-E-Wafa Tum Se Warna,

Satate Ho Din Rat Jis Tarha Mujh Ko,

Kisi Ghair Ko Youn Sata Kar To Dekho,

Agar Chaye Kisi Bat Par Wo Khafa Hain,

To Acha Ye Hi Hai Tum Apni Si Kar Lo,

Wo Manein Na Manain Ye Marzi Hai Un Ki,

Magar Un Ko Purnam Mana Kar To Dekho,

Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Pare Gi,

Mohabbat Ki Rahon Mein Aa Kar To Dekho................! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai