Poet Mohsin Naqvi
Ujre Howay Logon Se Gurezan Na Howa Kar
Halaat Ki Qabron K Ye Kutbe Bhi Parha Kar
Kia Janiye Kion Teiz Hawa Soch Mein Gum Hai,
Khawabeeda Parindon Ko Darakhton Se Ura Kar,
Us Shakhs K Tum Se Bhi Marasim Hain To Hon Gay,
Wo Jhoot Na Bole Ga Mere Samne Aa Kar,
Ab Dastakain De Ga To Kahan Aaye Gham-E-Ahbab,
Main Ne To Kaha Tha K Mere Dil Mein Raha Kar,
Har Waqt Ka Hansna Tujhe Barbad Na Kar De,
Tanhai K Lamhon Mein Kabhi Ro Bhi Lia Kar,
Wo Aaj Bhi Sadion Ki Musafat Pe Khara Hai,
Dhoondha Tha Jise Waqt Ki Deewar Gira Kar,
Barham Na Ho Kam Fehmi Kota Nazraan Par,
Aye Qamat-E-Fun Apni Bulandi Ka Gila Kar,
Aye Dil Tujhe Dushman Ki Bhi Pehchan Nahi Hai.,
Too Halqa-E-Yaran Mein Bhi Mohtat Raha Kar,
Main Mar Bhi Chuka Mil Bhi Chuka Moj-E-Hawa Mein,
Ab Rait K Seene Pe Mera Naam Likha Kar,
Pehle Sa Kahan Ab Meri Raftar Ka Aalam,
Aye Gardish-E-Doraan Zara Tham Tham K Chala Kar,
Is Rutt Mein Kahan Phool Khilein Gi Dil-E-Nadan,
Zakhmo Ko Hi Wabasta-E-Zanjeer-E-Saba Kar,
Ek Rooh Ki Faryad Ne Chonka Dia Mujh Ko,
Too Ab To Mujhe Jism K Zindan Se Re Ha Kar,
Is Shab K Muqadar Mein Sehr Hi Nahi,
Mohsin
Dekha Hai Kai Bar Charaghon Ko Bujha Kar........!
Comments
Post a Comment