Ye Sheesha Nahi K Wo Jis Mein Pari Hai

Faqt Dil Mein Hasrat Hi Hasrat Bhari Hai

 

Poet Dagh Dehlvi 

 

Ye Sheesha Nahi K Wo Jis Mein Pari Hai

Faqt Dil Mein Hasrat Hi Hasrat Bhari Hai

Kaha Tujh Ko Ko Sodaye Zulf Pari Hai,

Ye Uthti Nahi Aisi Tohmat Dhari Hai,

Ishare In Aankhon K Jan Bakhsh Tehre,

Ye Ijaz Hai Ya K Afsos Gari Hai,

Na Aage Gai Is Se Wo Khamsh Khud Been,

Magar Aina Had Askandri Hai,

Usay Dekh Kar Dil Mein Qail Hai Na Seh,

Magar Bat Kia Hai Sukhan Parwari Hai,

Hoi Taor Be Taor Ulfat Mein Dil K,

Qaza Ek Na Ek Roz Aage Dhari Hai,

Gawara Nahi Dil Ki Shirkat Bhi Hum Ko,

Mohabbat Mein Yahan Yaan Tak Tabiat Bhari Hai,

Kahan Us Mein Teri Si Mehshar Kharami,

Latara Howa Tera Kabak Dari Hai,

Saba Ban Gai Chor Baade Chaman Mein,

K Ghunche Ki Muthi Jo Zar Se Bhari Hai,

Dilasa Bhi Dete Nahi Aashqon Ko,

Ye Kia Dil Dehi Hai Ye Kia Dilbari Hai,

Mila Dagh Se Aaj Wo Maah Paikar,

Mubarik Quran Mah-O-Mushtari Hai.......!

Page 181

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai