Dupatta Lal Chunri Ka Lipat Kar Tujh Se Rehta Hai

Dupatta Lal Chunri Ka Lipat Kar Tujh Se Rehta Hai,

Meri Pyasi Nigahon Par Hamesha Hansta Rehta Hai,

Kabhi Urta Hawaon Mein,

Simat'ta Teri Bahon Mein,

Kabhi Kandhe Pe Be Qabo,

Sirakta Phirta Rehta Hai,

Tere Kano Mein Kehta Kuch,

Ya Seene Se Laga Rehta Hai,

Teri Dharkan Ko Gin Gin Kar,

Ye Uthta Girta Rehta Hai,

Kabhi Teri Kamar Is Ki,

Girafton Mein Bandhi Rehti Hai,

Kabhi Ye Peeth Par Kafir,

Khisakta Khichta Rehta Hai,

Kabhi Poche Paseene Ko,

Kabhi Dhakta Hai Soorat Ko,

Kabhi Gaalon Ko Choota Hai,

Kabhi Moonh Lag K Rehta Hai,

Kabhi Kaleen Ban Jata Hai,

Kabhi Gori Mein Sota Hai,

Tere Hathon Ko Sehlata Hai,

Satata Mujh Ko Rehta Hai,

Isay Sar Na Charhao Tum,

Dupatta Hai Mera Dushman,

Hamare Darmian Har Dam,

Kion Ye Besharam Rehta Hai..............!

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai