Han Rahi Hai Roo Ba Roo Rangeen Bahar Kitne Nazare Hain

 

Poet Jaan Nisar Akhtar


     UJRRA_DIL

 

Hans Rahi Hai Roo-Ba-Roo Rangeen Bahar,

Kitne Nazare Hain Janat Dar Kinar,

Rasta Takti Hai Kab Se Raah Guzaar,

Murr K Daikhta Hon Bar Bar,

Aa Gaya Hon Door Kis Ko Chorr Kar ?

Chup Kharra Hon Zindagi K Morr Par,

Jane Kis Ka Hai Abhi Tak Intzar ?

Kitne Honton Par Hai Ahd Dil Nasheen,

Muntzir Hain Kitne Aaghosh-E-Haseen,

Barrh Rahe Hain Kitne Dast-E-Nazneen,

Mujh Ko Laikin Hai Na Jane Kaya Yaqeen,

Reh Gai Hai Jam K Ik Janib Nazar,

Chup Kharra Hon Zindagi K Morr Par,

Jane Kis Ka Hai Abhi Tak Intzar ?

Ho Chuki Hain Gul Ufaq Ki Surkhiyan,

Teergi Hai Karwaan Dar Karwaan,

Bujh Gaya Ho Jaise Nazaron Mein Jahan,

Kuch Nahi Ma'aloom Jana Hai Kahan ?

Zulmaton Mein Kho Gai Hai Raah Guzar,

Chup Kharra Hon Zindagi K Morr Par,

Jane Kis Ka Hai Abhi Tak Intzar..............?
.
Page 66 67

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo