Kab Tare Husan Se Inkar Kia Hai Main Ne

 

Poet Jaan Nisar Akhtar

 

Type bY


     UJRRA_DIL

 

Kab Taire Husan Se Inkar Kiya Hai Main Ne ?

Zindagi Tujh Se To Bahot Payar Kiya Hai Main Ne,

Muskurati Hai Kabhi Aankh Mein Kajal Ban K,

Kisi Seene Mein Dharrak Uthti Hai Aanchal Ban K,

Kabhi Phoolon K Katoron Se Chhalak Jati Hai,

Kabhi Sho'ale Kabhi Shabnum Se Lapak Jati Hai,

Kese Kese Taira Deedar Kiya Hai Main Ne,

Zindagi Tujh Se To Bahot Payar Kiya Hai Main Ne,

Too Har Ik Rang Mein Har Shay Mein Nazar Aai Hai,

Roshani Ban K Sitaron Se Utar Aai Hai,

Taire Jadou Tairi Khushboo Tairi Muskaanon Ko,

Taire Machale Huye Umdday Huye Toofanon Ko,

Apni Sansoon Mein Girftar Kiya Hai Main Ne,

Zindagi Tujh Se To Bahot Payar Kiya Hai Main Ne,

Tujh Ko Chaha To Koi Taqaza Na Kiya,

Main Ne Bhoole Se Taire Payar Ko Ruswa Na Kiya,

Too Bata Main Ne Kabhi Tujh Se Churayi Aankhein ?

Taire Chehare Se Kab Main Ne Hatayi Aankhein ?

Khud Ko Kab Taira Gunaah-Gaar Kiya Hai Main Ne ?

Ay Zindagi Tujh Ko Bahot Payar Kiya Hai Main Ne,

Muat Aaye Gi To Ik Pal Ki Na Muhlat Day Gi,

Sans Laine Ki Bhi Kamm Bakhat Na Fursat Day Gi,

Jeete Jee Kis Liye Phir Aap Ko Nashad Karein ?

Zindagi Aik Pal Bhi Taira Kyoun Barbaad Karein ?

Lamha Lamha Yahi Israr Kiya Hai Main Ne,

Zindagi Tujh Se Bahot Payar Kiya Hai Main Ne..................!


.
Book Geet

Page 387 388

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo