Poet
Syed Ameen Gilani
Nazron Mein Hai Ab Tak Wo Sarapa
Koi Bata De Kaise Bhulaon,
Wo Qad-E-Mozon Wo Rukh-E-Zeba,
Koi Bata De Kaise Bhulaon,
Jin Se Wo Din Thay Rangeen Rangeen,
Jin Se Thein Ratain Roshan Roshan,
Koi Bata De Kaise Bhulaon,
Haay....!!!
Wo Ankhein Jado Jado,
Haye..!!!
Wo Gaiso Khushbo
Khushbo,
De Gaein Wehshat, Kar Gaye Ruswa,
Koi Bata De Kaise
Bholaon,
Ahd-E-Jawani Jaise Beeta,
Dor-E-Mohabbat Mein Jo Guzri,
Uff...!!!
Wo Kahani,
Aah...!!!
Wo Qisa,
Koi Bata De Kaise Bholaon,
Us Ki Khamoshi,
Us Ka Takalum,
Us Ki Adain,
Us Ka Tabasum,
Dil Mein Basa Wo Husan Sarapa,
Koi Bata De Kaise Bhulaon,
Mustaqbil K Andeshon Ka Zikar Chire To Mujh Se Ziada,
Aahein Bharna,
Ashk Bahana,
Koi Bata De Kaise Bhulaon,
Chehre Par Aasar-E-Matanat,
Ankhon Mein Anwar Zahanat,
Ek Ek Lafz Ijaz-E-Maseeha,
Koi Bata De Kaise Bhulaon,
Mere Dil-E-Betab Ki Khatir Rang Parda Larzan Larzan,
Rat Ko Ana Chup Kar Tanha,
Koi Bata De Kaise Bhulaon,
Sharm K Mare Keh Bhi Nahi Sakte,
Bin Izhar K Reh Bhi Nahi Sakte,
Khat Likh Likh Kar Pyar Jitana,
Koi Bata De Kaise Bhulaon,
Ab To AMEEN Chup Chup Rehta Hai,
Kehta Hai To Ye Kehta Hai,
Zakham Hai Mere Dil Ka Gehra,
Koi Bata De Kaise Bhulaon...............!
Page 178
Comments
Post a Comment