Pee Li To Kuch Pata Na Chala Wo Saroor Tha

 

 

Poet Muneer Niazi

Type By 

 

UJRRA_DIL 

 

Pee Li To Kuch Pata Na Chala Wo Saroor Tha,

Wo Us Ka Saya Tha Keh Rashak-E-Hoor Tha ?

Kal Main Nay Us Ko Daikha To Daikha Nahi Gaya,

Mujh Say Bich'hrr Kay Wo Bhi Bahot Gham Say Choor Tha,

Roya Tha Kon Kon ?

Mujhay Kuch'h Khabr Nahi,

Main Us Gharri Watan Say Kayi Meel Door Tha,

Sham-E-Faraq Aayi To Dil Doobnay Laga,

Hum Ko Bhi Apnay Aap Pay Kitna Ghuroor Tha,

Chehra Tha Ya Sada Thi Kisi Bhooli Yaad Ki,?

Aankhain Thi Us Ki Yaaro Keh Darya-E-Noor Tha ?

Nikla Jo Chaand Aayi Mehak Taiz Si MUNEER,

Mere Siwa Bhi Bagh Mein Koi Zaroor Tha...........!

Kuliat-E-Muneer

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo