Hasrat Bhari Nigahon Ko Aaram Tak Nahi



*****Haal-E-Tanhai*****

 

Hasrat Bhari Nigahon Ko Aaram Tak Nahi,

Wo Yon Badal Gaya K Ab Salam Tak Nahi,

Jis Ki Talab Main Zindagi Apni Guzaar Di,

Os Be-Wafa K Lab Pe Mera Naam Tak Nahi,

Jo Keh Gay Thy Shaam Ko Baithen gy Aaj Phir,

Kuch Saal Ho Gay Koi Paighaam Tak Nahi,

Madfoon Hon Tere Hijar Ki ik Aisi Qabar Main,

Kutby Pe Jis Ki Aaj Koi Naam  Tak Nahi,

Be-Ikhtiyaar Uththay Hain Mery Qadam Udhar,

Haalan Ke Os Gali Main Mujhe Kaam Tak Nahi...!

 

*************NOMI*************


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai