Hawa NaYad Aur Aaj Gosha E Geer Aisa Rag E Gulo Mein Howa

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Hawa Nayad Aur Aaj Hai Gosha-E-Geer Aisa,

Rag-E-Gulo Mein Howa Hai Piwast Teer Aisa,

Na Aap Khulta Na Mera Ahwal Pochta Hai,

Rah-E-Wafa Mein Ye Mil Gia Kon Meer Aisa,

Bandhe Howay Hath Ka Bhi Us Ko Malal Kab Hai,

Shareek-E-Parwaz Kar Raha Hai Aseer Aisa,

Na Mit Sake Ga Koi Mere Sheesha Gar Se Keh De,

Jo Fasla Parr Gia Dilon Mein Lakeer Aisa,

Main Dono Hathon Ko Chor Kar Chal Rahi Hon Phir Se,

Sara-E-Rada Khara Hai Ek Dastageer Aisa..............!

 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha