Kia Howa Too Ne Jo Paiman-E-Wafa Torr Dia Main Ne Khud

 

 

Poet Jaan Nisar Akhtar

Type bY
    UJRRA_DIL

 

Kia Howa Too Ne Jo Paiman-E-Wafa Tor Dia?

Main Nay Khud Bhi To Kisi Phool Say Nazuk Dil Ko,

Waqat Ki Rait Pay Tapta Huwa Chorra Tha Kabhi,

Apna Paiman-E-Wafa Jaan K Torra Tha Kabhi,

Kaya Huwa Tujh Ko Agar Mujh Say Mohabbat Na Rahi,

Zindagi Aap Tagheer Ka Fasana Jab Ho,

Dil K Jazabat Bhi Har Aan Badl Sakte Hain,

Ashak Khud Barf K Sanche Mein Dhal Sakte Hain,

Kaya Huwa Phair Li Toone Jo Nigahein Mujh Say,

Aabgeenon K Haseen Qalb Say Kitni Kiranein,

Bay Kasi Akas K Khamosh Guzar Jati Hai,

Kitni Mojein Hain Jo Ban Ban K Bikhar Jati Hai,

Kaya Huwa Torr Diya Toone Agar Saz Maira,

Chheen Sakta Nahi Mujh Say Maire Naghme Koi,

Saz Ka Kaya Hai ?
Bin Saz Bhi Ga Sakta Hon,

Aaj Bhi Aik Haseen Aag Laga Sakta Hon,

Kaya Huwa Torr Diya Toone Agar Saz Maira.................!
.
Page 71 72

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai