Subha Se Hai Gharz Na Sham Se Kaam Zindagi ko hai Apne

Poet Naseer-O-Deen Naseer

Subha Se Hai Gharz Na Sham Se Kaam,

Zindagi Ko Hai Apne Kaam Se Kaam,

Hum Ko Hai Maye K Ehtamam Se Kaam,

Khoob Chalta Hai Dhoom Dhaam Se Kaam,

Aye Mazaq-E-Talab Udhar Le Chal,

Aa Parra Un Un K Lutf-E-Aam Se Kaam,

Aap Lain Mere Khilaf Saboot,

Chal Sake Ga Na Iteham Se Kaam,

Hum Ne Poocha To Hans K Farmaya,

Aap Ko Kia Humare Naam Se Kaam,

Bat Karne Pe Wo Bigarta Tha,

Ban Gia Nama-O-Payam Se Kaam,

Jag Uthi NASEER Ki Qismat,

Aap Ko Aur Is Ghulam Se Kaam........?

Page 75

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai