Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya



Poetess Parveen Shakir


Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya

Hawa Ke Paas Barhana Kaman Chor Gaya

Rafaqton Ka Meri Us Ko Dehaan Kitna Tha

Zameen Ley Li Magaer Aasmaan Chor Gaya

Ajeeb Shakhs Tha, Barish Ka Rang Dekh Ke Bhi

Khule Dareeche Pe Ik Phool_Dan Chorr Gaya

Jo Badloon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha

Barhi Hai Dhoop To Be_Saibaan Chor Gaya

Nikal Gaya Kahin An_Dekhe Paniyon Ki Taraf

Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chor Gaya

Uqaab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se

Jo Gir Gai To Yunhi Neem Jaan Chor Gaya

Najane Kon Sa Aasaib Dil Mein Basta Hai

Ke Jo Bhi Thehra Wo Aakhir Makaan Chor Gaya

Aqab Me Gehra Samandar Hai, Saamne Jangal

Kis Inteha Pe Mera Meharban Chor Gaya


DaSHT-E-TaNHai

 

 


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo