Tere Hijar Kisi Ka Youn Hi Subha-O-Sham Karna Kabhi Aah Bhar K Rona Kabhi Ro K Aah Bharna

 

 

Poet Syed Ameen Gilani

 

Tere Hijar Mein Kisi Ka Yonhi Subh-0-Sham Karna,

Kabhi Aah Bhar K Rona
Kabhi Ro K Aah Bharna,

Kisi Gham Gusar Ne Jab Mere Dil Ka Haal Pocha,

Kabhi Bat Kar K Rona,
Kabhi Ro K Bat Karna,

Kabhi Keh Bhi Di Jo Dil Ki To Nazar Bacha K Dekha,

Kahein Rooth Hi Na Baithein,

Mera Jee Hi Jee Mein Darna,

Sar-E-Bazam Youn Satana K Mujhe Dekha Dekha Kar,

Kabhi Is Se Bat Kar Karna
Kabhi Us Se Bat Karna,

Wo Shabaab Ka Zamana
Mera Nit Naya Fasana,

Kabhi Is Haseen Pe Marna,

Kabhi Us Haseen Pe Marna,

Kai Gham Ki Ghatian Hain Kai Dukh Ki Khaian Hain,

Koi Sahal To Nahi Hai
Rah-E-Ishq Se Guzarna,

Teri Mehrbanion Se Mujhe Aa Gia Hai Aye Jan,

Tera Name Le K Jeena Tera Name Le K Marna,

Ye AMEEN Ki Sadgi Thi Jo Raha Wafa Pe Qaim,

Unhein Dijiye Mubarik Jinhain Aa Gia Mukarna.............!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo