Poet Nasir Kazmi
Type bY
UJRRA_DIL
Ye Kon Taair-E-Sadra'ha Se Ham Kalaam Aaya ?
Jahaan-E-Khak Ko Phir Arsh Ka Salam Aaya,
Jabeen Bhi Sajd'ha Talb Hai Ye Kaya Muqam Aaya,
Zaban Pay Baar-E-KHUDAYA Ye Kis Ka Naam Aaya ?
Keh Maire Nataq Ne Boose Meri Zaban K Liye,
Khat-E-Jabeen Taira UM-ULL-Kitaab Ki Tafseer,
Kahan Se Laon Tera Misal Aur Teri Nazeer,
Dikhaon Paikar-E-Alfaz Mein Teri Tasveer,
Misal Ye Mairi Koshish Ki Hai Keh Margh-E-Aseer,
Kare Qafas Mein Farahim Khass Aashiyan K Liye,
Kahan Wo Paikar-E-Noori Kahan Wo Qaba-E-Ghazal,
Kahan Wo Arash-E-Makeen Aur Kahan Wo Nawa-E-Ghazal,
Kahan Wo Jalwa-E-Ma'ana Kahan Wo Rada-E-Ghazal,
Baqadr-E-Shoq Nahi Zarf-E-Tangna-E-Ghazal,
Kuch Aur Chahiye Was'at Maire Bayan K Liye,
Thaki Hai Fikar-E-Rasa Aur Madah Baqi Hai,
Qalam Hai Aabla Pa Aur Madah Baqi Hai,
Tamam Umer Likha Aur Madah Baqi Hai,
Waraq Tamam Hua Aur Madah Baqi Hai,
Safeena Chahiye Is Behar-E-Baikraa'n K Liye..................!
Book Nishat-E-Khawab
Page 41/42
Comments
Post a Comment