Ye Zulf Barham Ye Chashm Pur Name Ab Mujh Ko

Poet Jaan Nisar Akhtar

Type bY


    UJRRA_DIL

 

Ye Zullf Barham Ye Chasham Pur Nam,

Ab Mujh Ko Kho Kar Kion Is Qadr Gham ?

Utra Sa Chehra Simte Abroo,

Doobi Si Nazarein Khoya Sa Aalm,

Gham K Asar Say Nazuk Tabiyat,

Har Lahza Darham Har Lahza Barham,

Taire Karam K Shayan Hi Kab Tha ?

Main Nang Hasti Main Nang Aalm,

Maira To Sajda Zilat Hai Tairi,

Taire Qadm Par Konain Hai Kham,

Mairi Mohabct Zehar Ab Mujh Ko,

Mairi Wafa Bhi Mairi Liye Sam,

Aahein Bhi Mairi Baad-E-Mukhaalif,

Aansoo Bhi Maire Kanton Pay Shabnum,

Bay Has Hai Ab To Qalb-E-Tamna,

Yaksan Hai Ab To Har Shadi-O-Gham,

Har Cheez Khoi Khoi Si,

Har Shakal Har Shay Mabham Mabham,

Main Aur Khud Ko Bhoola Huwa Sa,

Too Aur Tujh Par Maira Sa Aalm,

Ab Toone Chaha Ab Toone Manga,

Ab Dil Kahan Say Ho Gaa Faraahm.........?
.
Page

70

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo