Poet:Naseer-U-Din Naseer
Aa Gaiyn Chal K Hawain Tere Dewany Tak,
Ab Yahi Le K Chalen Gi Usay Maikhany Tak
Koi Cherhy Na Mujhe Ahd-e-Bahar Aany Tak,
Main Pohunch Jaon Ga Khud Jhoom K Maikhany Tak
Aa K Khud Raqs Kia Karta Hai Jal Jany Tak,
Shamma-e-Sozan'n Kabhi Jati Nahi Parwany Tak
Aana Jana To Hai Waiz ! Mere Kashany Tak,
Aik Din Aap Chalay Aao Gy Maikhany Tak
Ab Naqahat Ka Ye Aalam Hai Keh Utthay Nahi Haath,
Sirf Nazren Hi Pohunch Sakti Hain Paimany Tak
Is Karhe Waqt Main Ahbab Na Kaam Aain Gy,
Tashnagi De Gi Sahara Mujhe Maikhany Tak
Dhayan Zahid Ka Khuda Tak Kisi Soorat Na Gaya,
Dastras Thi Usy Tasbeeh K Har Daany Tak
Tujh Ko Bholy Se Bhi Main Sakon ! Na Mumkin,
Ye Ta'aluq To Rahy Ga Mere Mar Jany Tak
Dil Pe Aalam Ye Ghutan Ka,Ye Saba K Ghamzy,
Dekhiye Kia Ho,Teri Zulf K Lehrany Tak
Raah Dushwar Nahi,Sang Nahi,Khaar Nahi,
Mutmain Ho K Wo Aaein Mere Kashany Tak
Tum To Apny Thy,Na Thi Tum Se Ye Umeed Humain,
Koi Marta Ho,To Aa Jaty Hain Be-gany Log
Aaj Kal Be-Khudi-e-Shoq Ka Aalam Hai Ajeeb,
Kahiin Main Aap Na Kho Jaon Tujhe Pany Tak
Mout Barhaq Hai,Magar Aakhiri Khuwahish Ye Hai,
Sans Chalti Rahy Meri,Tere Aajany Tak
Baat Karni Hai Nakireen Se Tanha Sab Ko,
Saath Rehty Hain Ye Ahbab To Dafnany Tak
Masnad-e-Peer-e-Mughan Door Buhat Hai Mujh Se,
Haath Utth Kar Bhi Pohunchty Nahi Paimany Tak
Qadam Utthy Nahi,Ab Dughaf Ka Aalam Hai NASEER,
Koi Le Jai Mujhe Thaam K Maikhany Tak
**********NOMI**********
Comments
Post a Comment