Aaj Ik Ik Badakash Masroor Maikhany Main Hai,Taza Taza Is K,Us K,Sab K Paimany Main Hai

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Aaj Ik Ik Badakash Masroor Maikhany Main Hai,

Taza Taza Is K,Us K,Sab K Paimany Main Hai

 

Sheikh Jal Uthay Ga Tou ! Wo Shuola Maikhany Main Hai,

Maiy Nahi Ye,Ik Dhakti Aag Paimany Main Hai

 

Apna Deewana Bana Laita Hai Saari Khalq Ko,

Ik Ada-e-Khas Aisi Un K Deewany Main Hai

 

Der Botal K Uthany Main Lagy Gi Kuch Na Kuch,

Mujh Ko Utni Hi Buhat Hai Jitni Paimany Main Hai

 

Maikady Main Aany Walo ! Maikada Mat Chorhna,

Marny Jiny Ka Maza Kuch Hai,To Maikhany Main Hai

 

Pi Raha Hon,Ji Raha Hon,Shaad Hon,Masroor Hon,

Zindagi Hi Zindagi Labraiz Paimany Main Hai

 

Dil Ki Be-Kaifi Ka Ye Aalam Howa Bad-e-Janoon,

Lutaf Jeeny Ka Na Gulshan Main,Na Veerany Main Hai

 

Dhiyan Hai Aahat Pe,Hasrat-e-Dil Main HaiAankhon Main Dum,

Hum Chaly Dunya Se,Unko Der Agr Aany Main Hai

 

Jaag Utthi Qismat,Muqadar Jagmaga Uttha NASEER,

Jalwah Farma Aaj Koi Mere Kashany Main Hai

**********NOMI**********

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo