Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki



Poetess:Parveen Shakir


Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki
Maa Ki Rida Tou, Din Howe, Neelaam Ho Chuki

 

Ab Aasmaa.n Se Chadar-e Shab Aaye Bhi Tou Kiya
Be-Chadari Zameen Pe iLzaam Ho Chuki

 

Ujrey Howe Diyaar Pe Phir Kiun Nigah Hai
Is Kasht Per Tou Barish-e-Ikraam Ho Chuki

 

Sooraj Bhi Os Ko Dhoond Ke Wapas Chala Gaya
Ab Ham Bhi Ghar Ko Lout Chalain Shaam Ho Chuki

 

Shimley Sambhaaltey Hee Rahay Maslehat Pasand
Hona Tha Jis Ko Pyaar Main Bad-Naam Ho Chuki

 

Aankhain Hain Aur Subha Talak Tera Intezaar
Mishal Bad’dast Raat Terey Naam Ho Chuki

 

Koh-e-Nida Se Bhi Sukhan Utrey Agar, Tou Kiya
Na-Sameoo.n Main Hurmat-e-iLhaam Ho Chuki

 


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha