Poet: Naseer-u-Din Naseer
Bahasain, Na Gawah Chahta Hon,
Mujrim Hon,Saza Chahta Hon
Jab Khatam Ho Mere Sanson Ki Ruo,
Tum Ko Sar-e-Rah Chahta Hon
Nazara-e-Mah-o-Shann Se Pehly,
Tatheer-e-Nigah Chahta Hon
Aoron K Karam Mujhe Gawara,
Apnon Se Panah Chahta Hon
Takmeel-e-Wafa Pe Zid Se Hasil?
Kion Khud Ko Tabah Chahta Hon
Ik Tum, Keh Churha Rahy Ho Daman,
Ik Main,Keh Nibah Chahta Hon
Hain Naqsh-e-Qadam Jahan Tumhare,
Taron Main Woh Raah Chahta Hon
Jo Sirf Mere Liye Uthi Ho,
Wo Ik Nigaah Chahta Hon
Tu Ne Mujhe Aj Tak Na Chaha,
Phir Bhi Tujhe Aah! Chahta Hon
Jis Par Tere Qurb Ka Ho Aanchal,
Wo Shaam-e-Siyah Chahta Hon
Tum Mujh Se Nibah Kia Karo Gy,
Main Tum Se Nibah Chahta Hon
Ho Jis Pe Nazar Qalandaron Ki,
Sir Par Wo Kulah Chahta Hon
Ab Silsila-e-Karam Na Tooty,
Bas Rabt-e-Nigah Chahta Hon
Aor Un Se NASEER Kia Kahon Main,
Daman Main Panah Chahta Hon...
**********NOMI**********
Comments
Post a Comment