Gham-e-Hijran Ki Tere Pas Dawa Hy Keh Nahi,Jaan Balab Hy Tera Bemaar , Suna Hy Keh Nahi

Poet:Naseer-U-Din Naseer

Gham-e-Hijran Ki Tere Pas Dawa Hy Keh Nahi,

Jaan Balab Hy Tera Bemaar , Suna Hy Keh Nahi

 

Wo Jo Aaya Tha,To Dil Le K Gaya Hy Keh Nahi,

Jhank Le Seeny Main Kam Bakht Zara,Hy Keh Nahi

 

Mukhamsy Main Teri Aahat Ne Mujhe Daal Diya,

Ye Mere Dil K Dharakny Ki Sada Hy Keh Nahi

 

Samny Aana,Guzar Jana,Taghaful Karna,

Kia Ye Dunya Main Qayamat Ki Saza Hy Keh Nahi

 

Ahl-e-Dil Ne Usy Dhonda,Usy Mahsoos Kiya,

Sochty Hi Rahy Kuch Log,Khuda Hy Keh Nahi

 

Tum To NaHaq Meri Baton Ka Bura Maan Gaye,

Main Ne Jo Kuch Bhi Kaha Tum Se,Baja Hy Keh Nahi

 

Aabro Jai Na Ashkon Ki Rawani Se NASEER, 

Sochta Hon,Ye Muhabbat Main Rawa Hy Keh Nahi


**********NOMI**********

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo