Hairan Hazaron Hain Preshan Hazaron,Phirty Hain Tujhe Dhoondty Hain Insan Hazaron

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Hairan Hazaron Hain Preshan Hazaron,

Phirty Hain Tujhe Dhoondty Hain Insan Hazaron

 

Majnoon Hi Pe Kia,Lut Gay Insan  Hazaron,

Ik Dast-e-Janoon Main Hain Greban Hazaron

Ilzam Tere Sar Hain Ba-Har Aan Hazaron,

Hain Zulf-e-Pareshan Se Pareshan Hazaron

Eefa Kabhi Ho Jain To Taqdeer Humari,

Bandhy To Hain Us Shoukh Ny Paiman Hazaron

Aabro Hain Keh Mehrab-e-Haram Qibla-e-Ushaaq,

Aankhon Pe Luta Bhety Hain Eman Hazaron

Zahid Ne Chalakta Howa Saghar Nahi Dekha,

Har Moj Main Posheedah Hain Toofan Hazaron

Ho Jai Inayat Ki Nazar Kaash Idhar Bhi,

Hum Dil Main Liye Bethy Hain Arman Hazaron

O PardaNasheen Aik Zara Jalwa Numa Ho,

Bethy Hain Tere Sokhta Samaan Hazaron

 

Dunya-e-Muhabbat Main NASEER Aik Humain Kia,

Ghar Baar Kiye Bethy Hain Veeran Hazaron

**********NOMI**********

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo