Poet:Naseer-U-Din Naseer
Hamain Jab Keh Apna Bana Liya
To Hai Rabat Kis Liye Hum Se Kam
Ye Hijab Kia,Ye Guraiz Kiuon,
Rahain Samny To Wo Kam se Kam
Gham-e-Aarzo,Gham-e-Justajo,
Gham-e-Imtehan,Gham-e-Jisam-o-Jaan
Meri Zindagi Ki Basaat Kia,
Meri Zindagi To Hai Gham Se Kam
Ye Muqam-e-Naz-o-Niaz Hai,
Mira Dil Hi Muhram-e-Raaz Hai
Wo Nawazty Hain Ba-Maslahat
Humain Iltefat-o-Karam Se Kam
Tere Aastan Ka Faqeer Hon,
Magar Aap Apni Nazeer Hon
Meri Shan-e-Faqar Jahan Main Na Mily Gi,
Shaukat-e-Jam se kam
Ye Kaha Gaya,Ye Suna Gaya,
Ye Likha Gaya,Ye Parha Gaya
Na Jafa Hoi Kabhi Tum Se Kam,
Na Wafa Hoi Kabhi Hum Se Kam
Wahi Nisbatain,wahi Rifa'atain,
Wahi Ronaqain,Wahi Azmatain
Mere Dil Main Jab Se Hain Wo Makeen,
Nahi Ye Makan Bhi Haram Se Kam
Tere Aabroun Ki Haseen Kaman'n,
Nazar Aa Rahi Hai Falak Nishan'n
Na Karishmah Qos-e-Quza Se Kam,
Na Kashish Hilal ke Kham Se Kam
Na Sata Mujhe,Na Rula Mujhe,
Nahi Aur Tab-e-Jafa Mujhe
Keh Meri Mata'a-e-Shakeeb Hai,
Teri Kaainat-e-Sitam Se Kam
Na Karam Hai Kam Sar-e-Anjuman
Keh Pilai Us Ne Maiy-e-Sukhan
Mujhe Paas Apny Bula Liya,
Rahi Baat Meri To Kam Se Kam
Nahi Jis Main Teri Tajalliyan,
Use Janchti Hai Nazar Kahan
Tere Noor Ka Na Zahoor Ho,
To Wajood Bhi Hai Aadum Se Kam
Kabhi Iniakaas-e-Jamal Hai,
Kabhi Aain-e-Shai Ki Misaal Hai
Nahi Mere Dil Ka Mua'amila,
Kisi Aainy K Bharam Se Kam
Mah-o-Aaftab-o-Najom Sab,
Hain Zia Fagan,Nahi Is Main Shak
Hai Musalam In Ki Chamak-o-Damak,
Magar Unky K Naqsh-e-Qadam Se Kam
Yahi Aarzoo,Yahi Mudda'a,
Kabhi Waqt Ho To Sunain Zara
Meri Dastan-e-Hayat-e-Gham
Jo Likhi Gai Hai Qalam Se Kam
Ye NASEER Daftar-e-Raaz Hai,
Ye Ghubar-e-Raah-e-Niaz Hai
Karen Is Pe Ahl-e-Jahan Yaqeen,
Nahi Iska Qaol, Qasam Se Kam............!
**********NOMI**********
Comments
Post a Comment