Khak-e-Paa Unki Jahan Bhi Kahin Pai Jai,Dil Ye Kehta Hai Keh Aankhon Se Lagai Jai

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Khak-e-Paa Unki Jahan Bhi Kahin Pai Jai,

Dil Ye Kehta Hai Keh Aankhon Se Lagai Jai

Unki Tasveer-e-Sitam Kiyon Na Dikhai Jai,

Manzar-e-Aam Par Ye Shakal Bhi Lai Jai

Shualy Utthy Hain Agar Dil Main,Na Aansoo Roko,

Aag Lag Jai To Lazim Hai Bujhai Jai

Ik Nazar Deed Ki Taofeeq Aata Ho Hum Ko,

Kuch Na Kuch Husan Ki Khairat Lutai Jai

Guftago Sheesha-o-Saghar Ki Abas Hai Saaqi !

 Hum Wo Peety Hain Jo Aankhon Se Pilai Jai

Baarha Keh To Chuky Tum Se Kahani Dil Ki,

Kia Zarori Hai Keh Tahreer Main Lai Jai

Aap Kiyon Dil Ki Tamanaon ko Pamal Karen,

Raigan'n Kiyon Kisi Muflis Ki Kamai Jai

Husan Kia Shay Hai,Ada Kia Hai,Wo Khud Kaise Hain,

Baat Khul Jai Gi,Tasweer Mangai Jai

Qais-o-Farhad Ki Afsanon Main Kia Rakha Hai,

Dastan Mairi Mujhi Ko Na Sunai Jai

Mujh Se Kehta Hai NASEER Ab K Baras Josh-e-Janoon,

Kam Se Kam,Khaak Bayaban'n Ki Urai Jai

**********NOMI**********

1 comment:

  1. SubhanAllah
    نصیر
    آنکھوں سے پلائی جائے😍

    ReplyDelete

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo