Na Aay Tujh Ko Nazar,Tou Magar Udas Na Ho Talash Kar,Wo Yahein Tere Aas Paas Na Ho

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Na Aay Tujh Ko Nazar,Tou Magar Udas Na Ho

Talash Kar,Wo Yahein Tere Aas Paas Na Ho

Mujhe Yaqeen Nahi,Us Ko Tera Paas Na Ho

Tera Guman Na Ho,Ye Tera Qiyas Na Ho

Wo Aor Kia Kare Aakhir Agar Udas Na Ho

Baghair-e-Ishq Na Chain Aay,Ishq Raas Na Ho

Ye Kis Ko Log Liye Ja Rahy Hain Kandhon Par

Kahin Ye Shakhas Tumhara Wafa Shanas Na Ho

Becharhny Walon Ko Ik Din Khuda Milata Hai

Tujhe Humari Qasam,Is Qadar Udas Na Ho

Ye Bandagi Hai,Keh Har Haal Main Ho Shukar Uska

Hazar Kuch Ho,Magar Koi Na Sapas Na Ho

Wo Majra Jo Hy Majnoon K Naam Se Mashhor

Kahin Hamare Fasany Ka Iqtebas Na Ho

Zia-e-Ilam-o-Hunar Se Hai Aabro-e-Bashar

Ye Roshni To Ho,Ujla Agar Libas Na Ho

Maza To Jab Hai,Keh Ho Baat Baat Qand-o-Nabat

Wo Baat Zahir Hai,Jis Baat Main Mithas Na Ho

Hai Aik Tanz Ka Nashtar,Dua-e-Umr-e-Daraz

Us Aik Shakhas Ko,Jeeny Ki Jis Ko Aas Na Ho

NASEER Khel Nahi Hai,Shour-e-Zaat-o-Sifat

Khuda Shanas Kahan Wo, Jo Khud Shanas Na Ho

**********NOMI**********

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai