Na Wo Ihtemam-e-May Kuhan,Na Wo MaiKaday Ka Nizam Hai

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Na Wo Ihtemam-e-May Kuhan,

Na Wo MaiKaday Ka Nizam Hai

Na Wo Rind Hain,Na Wo Ha-o-Hu,

Na Wo Dawar Hai,Na Wo Jaam Hai

Wo Hai Khush Naseeb Jise Mily,

Mai-e-Ma'arifat Ka Ye Jaam Hai

Jo Wo Khud Pilain To Halal Hai,

Na Pilain Wo,To Haram Hai

Zara Dekh Apny Mareez Ko

 Keh Har Uski Sans Main Aaj Bhi

Tere Intezaar Ki Hai Kasak,

Teri Yaad Hai,Tera Naam Hai,

Kahon Kis Se Qissa-e-Shoq Main,

Na Wo Humnawa,Na Wo HumZuban'n

Na Wo Humsafar,Na Wo Karwan'n,

Na Wo Subah Hai,Na Wo Shaam Hai

Chali Aisi Bad-e-Khazan'n Asar,

Keh Hon Dam-e-Gham Main Shikasta Par

Na Buton Ki Dil Main Hai Aarzoo,

Na Wo Shoq-e-Jalwa-e-Baam Hai

Wo Niaz-o-Naz Ki Mahfilen,

Na Wo Chaand Hai Na Wo Chaandni

Na Wo Raat Hai,Na Wo Baat Hai,

Na Wo Husan-e-Maah-e-Tamam Hai

Na Firaq-e-Yaar K Mashghaly,

Na Wo Bazm-e-Shoq K Walwaly

Na Wo Soz-e-Seena Gudaz Hai,

Na Wo Aah-e-Barq Khiram Hai

Ye Ajeeb Dawar Hai Ronuma 

Keh Adab Ka Paas Nahi Raha

Na Wo Ahl-e-Dard Ki Hurmatain,

Na Wo Ihteram-e-Muqam Hai

Kahon Main Bhala,Wo Bura Kahain,

Karon Main Wafa,Wo Jafa Karen

Unhain Apny Kam Se Hai Gharaz,

Mujhe Apny Kam Se Kam Hai

Wo Hazar Koi Jatan Kare,

Teri Dastras Se Na Bach Saky

Teri Zulf HalqaBadosh Hai,

Teri Aankh Baada Ba-Jaam Hai

Tere Sang-e-Dar Pe Jo  Howa Ada,

Wahi Aik Sajdah Hai Kaam Ka

Yahi Ik Namaz Hai Ishq Ki 

Jo Baghair-e-Shart-e-Imam Hai

Main NASEER Faqar Sarashat Hon,

Keh Mureed-e-Saaqi-e-Chasht Hon

Mujhe Badshahon Se Kaam Kia,

Unhain Door Hi Se Salam Hai

**********NOMI**********

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha