Paiman-e-Wafa Aor Hai Saman-e-Jafa Aor Hai,Us Fitna-e-Dawran Ne Kaha Aor,Kia Aor

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Paiman-e-Wafa Aor Hai Saman-e-Jafa Aor Hai,

Us Fitna-e-Dawran Ne Kaha Aor,Kia Aor

Taiwar Alag,Andaz Juda,Unki Ada Aor,

Wo Aor Hawa Main Hain,Zamany Ki Hawa Aor

Tarkeeb Koi Unko Manany Ki Ho Kia Aor,

Main Jitna Manata Hon,Wo Hoty Hain Khafa Aor

Pi Len Jo Kabhi Sheikh To Pi Pi K Pukaren,

Ay Saaqi-e-Maikhana ! Zara Aor,Zara Aor

Mahroom Howa Deen Se,Dunya K Talab Main,

Na Fiham Ne Kuch Aor Hi Socha Tha,Howa Aor

Phoolon Ki Wahan Dhoop,Yahan Saaya-e-Wahshat,

Gulshan Ki Fiza Aor Hai,Sahra Ki Fiza Aor

Insaaf Mily Ga Sar-e-Maidan-e-Qayamat,

Un Ka Na Khuda Aor,Na Mera Hi Khuda Aor

Dekhen To Zara Hum Bhi Usy,Ay Hama-e-Khoobi !

 Hum Jaisa Wafadar Koi Dhond K La ! Aor

Chorhen Na Muhabbat Ko NASEER Ahl-e-Muhabbat,

Ye Shoq-e-Khata Hai,To Khata Aor Khata Aor

**********NOMI**********

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo