Samajh Ai Magar Barson Rahy Dhoky Main Hum Pehly,AdabGah-e-Haram Se Buttkada Tha Do Qadam Pehly

Poet:Naseer-u-Din Naseer

Samajh Ai Magar Barson Rahy Dhoky Main Hum Pehly,

AdabGah-e-Haram Se Buttkada Tha Do Qadam Pehly

Ghazab Hy Yuon Tera Palkain Jhapakty Hi Badal Jana

Sitam Hony Laga Un Par Keh Tha Jin Par Karam Pehly

Haya Kahiye Keh Zid,Donon Taraf Se Thann Gai Aisi,

Qadam Apna Uthain Gy Na Wo Pehly,Na Hum Pehly

Humara Kia Hy,Tere Saath Thorhi Hum Bhi Pi Len Gy,

Khuda Ka Naam Le Kar Jaam Utha Sheikh-e-Haram ! Pehly

Tere Aany Se Pehly Hi Bichaaty Raah Main Aankhen,

Khabar Aamad Ki Dena Chahiye Thi Kam Se Kam Pehly

Baqa Ki Justajo Hy To Fana Kar Apni Hasti Ko

Keh Hast-o-Bood-e-Aalam Se Hy Dunya-e-Adum Pehly

Meri Taqdeer K Bal Ka Nikalna Baad Main Hoga

Zara Seedhy To Ho Len Ye Teri Zulfon K Kham Pehly

Judai K Tasawwer Se Bhar Aay Ashk Aankhon Main

Chaly Jana,Tehirny Do Zara Selaab-e-Gham Pehly

Janab-e-Sheikh Ki Dar Parda Rindi Ka Bhi Kia Kehna,

Pohunch Jaty Hain Aksar Maikaday Main Muhtaram Pehly

Chaly Hain Ko-e-Janann Ki Taraf  Hum Bhi Pasy Qasid

NASEER Ab Dekhty Hain,Wo Pohunchta Hai Keh Hum Pehly

**********NOMI**********

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai